|
ghazal |
|
ul;Tii ho ga))ii;N sab tadbiire;N kuchh
nah davaa ne kaam kiyaa
dekhaa is biimaarii-e dil ne aa;xir kaam tamaam kiyaa
((ahd-e javaanii ro ro kaa;Taa piirii me;N
lii;N aa;Nkhe;N muu;Nd
ya((nii raat bahut the jaage .sub;h hu))ii aaraam kiyaa
;harf nahii;N jaa;N-ba;xshii me;N us kii
;xuubii apnii qismat kii
ham se jo pahle kah bhejaa so marne kaa pai;Gaam kiyaa
naa-;haq ham majbuuro;N par yih tuhmat
hai mu;xtaarii kii
chaahte hai;N so aap kare;N hai;N ham ko ((aba;s bad-naam kiyaa
saare rind aubaash jahaa;N ke tujh se sujuud
me;N rahte hai;N
baa;Nke ;Te;Rhe tirchhe tiikhe sab kaa tujh ko imaam kiyaa
sar-zad ham se be-adabii to va;hshat me;N
bhii kam hii hu))ii
koso;N us kii or ga))e par sijdah har har gaam kiyaa
kis kaa ka((bah kaisaa qiblah kaun ;haram
hai kyaa a;hraam
kuuche ke us ke baashindo;N ne sab ko yahii;N se salaam kiyaa
shai;x jo hai masjid me;N nangaa raat ko
thaa mai-;xaane me;N
jubbah ;xirqah kurtaa ;Topii mastii me;N in((aam kiyaa
kaash ab burqah mu;Nh se u;Thaa de varnah
phir kyaa ;haa.sil hai
aa;Nkh mu;Nde par un ne go diidaar ko apne ((aam kiyaa
yaa;N ke saped-o-siyah me;N ham ko da;xl
jo hai so itnaa hai
raat ko ro ro .sub;h kiyaa yaa din ko juu;N-tuu;N shaam kiyaa
.sub;h chaman me;N us ko kahii;N takliif-e
havaa le aa))ii thii
ru;x se gul ko mol liyaa qaamat se sarv ;Gulaam kiyaa
saa((id-e siimii;N dono;N us ke haath me;N
laa kar chho;R diye
bhuule us ke qaul-o-qasam par haa))e ;xayaal-e ;xaam kiyaa
kaam hu))e hai;N saare .zaa))i har saa((at
ki samaajat se
isti;Gnaa kii chau-gunii un ne juu;N juu;N mai;N ibraam kiyaa
aise aahuu-e ram-;xvurdah kii va;hshat
khonii mushkil thii
si;hr kiyaa i((jaaz kiyaa jin logo;N ne tujh ko raam kiyaa
miir ke diin-o-ma;zhab ko ab puuchhte kyaa
ho un ne to
qashqah khai;Nchaa dair me;N bai;Thaa kab kaa tark islaam kiyaa
registaa;N me;N jaa ke rahe;N yaa sangistaa;N
me;N ham jogii
raat hu))ii jis jaagah ham ko ham ne vahii;N bisraam kiyaa