|
ghazal |
|
mu;Nh takaa hii kare hai jis tis kaa
;hairatii hai yih aa))inah hai kis kaa
shaam se kuchh bujhaa-saa rahtaa huu;N
dil hu))aa hai chiraa;G muflis kaa
the bure mu;G-bachcho;N ke tevar lek
shai;x mai-;xaane se bhulaa khiskaa
daa;G aa;Nkho;N se khil rahe hai;N sab
haath dastah hu))aa hai nargis kaa
ba;hr kam-:zarf hai bah saan-e ;habaab
kaasah-les ab havaa hai to jis kaa
fai.z ay abr chashm-e tar se u;Thaa
aaj daaman vasii(( hai is kaa
taab kis ko jo ;haal-e miir sune
;haal hii aur kuchh hai majlis kaa