ghazal
{58}

 
 

*{58,1}

taa bah maqduur inti:zaar kiyaa
dil ne ab zor-e be-qaraar kiyaa

{58,2}

dushmanii ham se kii zamaane ne
kih jafaa-kaar tujh saa yaar kiyaa

*{58,3}

yih tavahhum kaa kaar-;xaanah hai
yaa;N vuhii hai jo i((tibaar kiyaa

{58,4}

ek naavak ne us kii mizhgaa;N ke
:taa))ir-e sidrah tak shikaar kiyaa

*{58,5}

.sad rag-e jaa;N ko taab de baaham
terii zulfo;N kaa ek taar kiyaa

*{58,6}

ham faqiiro;N se be-adaa))ii kyaa
aan bai;The jo tum ne pyaar kiyaa

*{58,7}

sa;xt kaafir thaa jin ne pahle miir
ma;zhab-e ((ishq i;xtiyaar kiyaa