ghazal
{69}

 
 

*{69,1}

galyo;N me;N ab talak to ma;zkuur hai hamaaraa
afsaanah-e mu;habbat mashhuur hai hamaaraa

*{69,2}

maq.suud ko to dekhe;N kab tak pahu;Nchte hai;N ham
baa al-fa((l ab iraadah taa guur hai hamaaraa

{69,3}

kyaa aarzuu thii jis se sab chashm ho ga))e hai;N
har za;xm sau jagah se naasuur hai hamaaraa

*{69,4}

tii;N aah ((ishq-baazii chaupa;R ((ajab bichhaa))ii
kachchii pa;Rii;N hai;N narde;N ghar duur hai hamaaraa

{69,5}

taa chand pusht-e paa par sharm-o-;hayaa se aa;Nkhe;N
a;hvaal kuchh bhii tum ko man:zuur hai hamaaraa

{69,6}

be-:taaqatii kare;N to tum bhii mu((aaf rakhyo
kyaa kiijiye kih dil bhii majbuur hai hamaaraa

*{69,7}

hai;N musht-e ;xaak lekin jo kuchh hai;N miir ham hai;N
maqduur se ziyaadah maqduur hai hamaaraa