ghazal
{183}

 
 

*{183,1}

palko;N pah the paarah-e jigar raat
ham aa;Nkho;N me;N le ga))e basar raat

{183,2}

ik din to vafaa bhii karte va((dah
gu;zrii hai umiid-vaar har raat

{183,3}

mukh;Re se u;Thaa))ii;N un ne zulfe;N
jaanaa bhii nah ham ga))ii kidhar raat

{183,4}

tuu paas nahii;N hu))aa to rote
rah rah ga))ii hai pahar pahar raat

*{183,5}

kyaa din the kih ;xuun thaa jigar me;N
ro u;Thte the bai;Th do pahar raat

{183,6}

vaa;N tum to banaate hii rahe zulf
((aashiq kii bhii yaa;N ga))ii gu;zar raat

{183,7}

saaqii ke jo aane kii ;xabar thii
gu;zrii hame;N saarii be-;xabar raat

{183,8}

kyaa soz-e jigar kahuu;N mai;N hamdam
aayaa jo su;xan zabaan par raat

{183,9}

.su;hbat yih rahii kih sham((a ro))ii
le shaam se taa dam-e sa;har raat

{183,10}

khultii hai jab aa;Nkh shab ko tujh bin
ka;Ttii nahii;N aatii phir na:zar raat

{183,11}

din va.sl kaa yuu;N ka;Taa kahe tuu
kaa;Tii hai judaa))ii kii magar raat

*{183,12}

kal thii shab-e va.sl ik adaa par
us kii ga))e hote ham to mar raat

*{183,13}

jaage the hamaare ba;xt-e ;xuftah
pahu;Nchaa thaa baham vuh apne ghar raat

*{183,14}

karne lagaa pusht-e chashm-e naazuk
sote se u;Thaa jo chau;Nk kar raat

*{183,15}

thii .sub;h jo mu;Nh ko khol detaa
har-chand kih tab thii ik pahar raat

*{183,16}

par zulfo;N me;N mu;Nh chhupaa ke puuchhaa
ab hovegii miir kis qadar raat

 

{183,trans.}

Translations