ghazal
{185}

 
 

*{185,1}

jii me;N hai yaad-e ru;x-o-zulf-e siyah-faam bahut
ronaa aataa hai mujhe har sa;har-o-shaam bahut

*{185,2}

dast-e .saiyaad talak bhii nah mai;N pahu;Nchaa jiitaa
be-qaraarii ne liyaa mujh ko tah-e daam bahut

{185,3}

ek do chashmak idhar gardish-e saa;Gar kih mudaam
sar-cha;Rhii rahtii hai yih gardish-e ayyaam bahut

*{185,4}

dil-;xaraashii-o-jigar-chaakii-o-;xuun-afshaanii
huu;N to naa-kaam pah rahte hai;N mujhe kaam bahut

{185,5}

rah gayaa dekh ke tujh chashm pah yih sa:tr-e mizhah
saaqiyaa yuu;N to pa;Rhe the mai;N ;xa:t-e jaam bahut

{185,6}

phir nah aa))e jo hu))e ;xaak me;N jaa aasuudah
;Gaaliba:n zer-e zamii;N miir hai aaraam bahut