ghazal
{256}

 
 

*{256,1}

miir-e gum-kardah-chaman zamzamah-pardaaz hai ek
jis kii lai daam se taa gosh-e gul aavaaz hai ek

*{256,2}

kuchh ho ai mur;G-e chaman lu:tf nah jaave us se
nau;hah yaa naalah har ik baat kaa andaaz hai ek

*{256,3}

naa-tavaanii se nahii;N baal-fishaanii kaa dimaa;G
varnah taa baa;G qafa.s se mirii parvaaz hai ek

*{256,4}

gosh ko hosh ke ;Tuk khol ke sun shor-e jahaa;N
sab kii aavaaz ke parde me;N su;xan-saaz hai ek

*{256,5}

chaahe jis shakl se tim;saal-.sifat us me;N dar aa
((aalam aa))iine ke maanind dar-e baaz hai ek