ghazal
{266}

 
 

*{266,1}

kaisaa chaman asiirii me;N kis ko udhar ;xayaal
parvaaz ;xvaab ho ga))ii hai baal-o-par ;xayaal

*{266,2}

mushkil hai mi;T ga))e hu))e naqsho;N kii phir namuud
jo .suurate;N biga;R ga))ii;N un kaa nah kar ;xayaal

{266,3}

muu ko ((aba;s hai taab kalii yuu;N hii tang hai
us kaa dahan hai vahm-o-gumaan-o-kamar ;xayaal

{266,4}

ru;xsaar par hamaare ;Dhalakne ko ashk ke
dekhe hai jo ko))ii so kare hai guhar ;xayaal

*{266,5}

kis ko dimaa;G-e shi((r-o-su;xan .zu((f me;N kih miir
apnaa rahe hai ab to hame;N beshtar ;xayaal