ghazal
{384}

 
 

{384,1}

garchih kab dekhte ho par dekho
aarzuu hai kih tum idhar dekho

{384,2}

((ishq kyaa kyaa hame;N dikhaataa hai
aah tum bhii to ik na:zar dekho

{384,3}

yuu;N ((araq jalvah-gar hai us mu;Nh par
jis :tara;h os phuul par dekho

{384,4}

har ;xaraash-e jabii;N jaraa;hat hai
naa;xun-e shauq kaa hunar dekho

{384,5}

thii hame;N aarzuu-e lab-;xandaa;N
so ((ava.z is ke chashm-e tar dekho

{384,6}

rang-e raftah bhii dil ko khe;Nche hai
ek shab aur yaa;N sa;har dekho

{384,7}

dil hu))aa hai :taraf mu;habbat kaa
;xuun ke qa:tre kaa jigar dekho

{384,8}

pahu;Nche hai;N ham qariib marne ke
ya((nii jaate hai;N duur agar dekho

{384,9}

lu:tf mujh me;N bhii hai;N hazaaro;N miir
diidanii huu;N jo soch kar dekho

 

{384,trans.}

Translations