ghazal
{386}

 
 

*{386,1}

achchhii lage hai tujh bin gul-gasht-e baa;G kis ko
.su;hbat rakhe gulo;N se itnaa dimaa;G kis ko

*{386,2}

be-soz daa;G-e dil par gar jii jale bajaa hai
achchhaa lage hai apnaa ghar be-chiraa;G kis ko

*{386,3}

.sad chashm-e daa;G vaa hai;N dil par mire mai;N vuh huu;N
dikhlaa rahaa hai laalah tuu apnaa daa;G kis ko

{386,4}

gul-chiin-e ((aish hote ham bhii chaman me;N jaa kar
aah-o-fi;Gaa;N se apnii lekin faraa;G kis ko

{386,5}

kar shukr-e chashm-e pur-;xuu;N ai mast-e dard-e ulfat
dete hai;N sur;x mai se bhar kar ayaa;G kis ko

{386,6}

us kii balaa se jo ham ai miir gum bhii hove;N
ham se ;Gariib kaa ho fikr-e suraa;G kis ko