ghazal
{429}

 
 

*{429,1}

kyaa muvaafiq ho davaa ((ishq ke biimaar ke saath
jii hii jaate na:zar aa))e hai;N us aazaar ke saath

*{429,2}

raat majlis me;N tirii ham bhii kha;Re the chupke
jaise ta.sviir lagaa de ko))ii diivaar ke saath

 

*{429,4}

shauq kaa kaam khi;Nchaa duur kih ab muhr mi;saal
chashm-e mushtaaq lagii jaa))e hai :tuumaar ke saath

 

*{429,7}

;zikr-e gul kyaa hai .sabaa ab kih ;xizaa;N me;N ham ne
dil ko naa-chaar lagaayaa hai ;xas-o-;xaar ke saath

*{429,8}

kis ko har dam hai lahuu rone kaa hijraa;N me;N dimaa;G
dil ko ik rab:t saa hai diidah-e ;xuu;N-baar ke saath