ghazal
{594}

 
 

{594,1}

kuchh to kah'h va.sl kii phir raat chalii jaatii hai
din gu;zar jaa))e;N hai;N par baat chalii jaatii hai

{594,2}

rah ga))e gaah tabassum pah gahe baat hii par
baare ai ham-nishii;N auqaat chalii jaatii hai

{594,3}

;Tuk to vaqfah bhii kar ai gardish-e dauraa;N kih yih jaan
((umr ke ;haif hii kyaa saat chalii jaatii hai

{594,4}

yaa;N to aatii nahii;N sha:Tranj-e zamaanah kii chaal
aur vaa;N baazii maat chalii jaatii hai

*{594,5}

roz aane pah nahii;N nisbat-e ((ishqii mauquuf
((umr bhar ek mulaaqaat chalii jaatii hai

{594,6}

shai;x-e be-nafs ko nazlah nahii;N hai naak kii raah
yih hai jiryaan-e manii dhaat chalii jaatii hai

{594,7}

;xirqah mandiil-o-ridaa mast liye jaate hai;N
shai;x kii saarii karaam
aat chalii jaatii hai

{594,8}

hai muvazzan jo ba;Raa mur;G-e mu.sallii us kii
masto;N kii nok hii kii baat chalii jaatii hai

{594,9}

paa))o;N ruktaa nahii;N masjid se dam-e aa;xir bhii
marne par aayaa hai par laat chalii jaatii hai

{594,10}

har sa;har dar-pa))e aaraam-e mai-aashaamaa;N hai
makr-o-:taamaat kii ik ghaat chalii jaatii hai

{594,11}

ek ham hii se tafaavut hai suluuko;N me;N miir
yuu;N to auro;N kii madaaraat chalii jaatii hai

 

{594,trans.}

Translations