ghazal |
![]() |
la;z;zat se nahii;N ;xaalii jaano;N kaa khapaa jaanaa
kab ;xi.zr-o-masii;haa ne marne kaa mazaa jaanaa
kab bandagii merii sii bandah karegaa ko))ii
jaane hai ;xudaa is ko mai;N tujh ko ;xudaa jaanaa
gardan-kashii kyaa ;haa.sil maanind bagole kii
us dasht me;N sar gaa;Re juu;N sail chalaa jaa naa
ai shor-e qiyaamat ham sote hii nah rah jaave;N
is raah se nikle to ham ko bhii jagaa jaanaa
kab miir basar aa))e tum vaise farebii se
dil ko to lagaa bai;The lekin nah lagaa jaanaa