ghazal
{721}

 
 

*{721,1}

:tariiq ;xuub hai aapas kii aashnaa))ii kaa
nah pesh aave agar mar;halah judaa))ii kaa

 

*{721,3}

hamii;N hai;N dair-o-;haram ab to yih ;haqiiqat hai
dimaa;G kis ko hai har dar kii jab'hah-saa))ii kaa

 

*{721,5}

nahii;N jahaan me;N kis :tarf guft-guu dil se
yih ek qa:trah-e ;xuu;N hai :taraf ;xudaa))ii kaa

 

*{721,8}

rakhaa hai baaz hame;N dar bah dar ke phirne se
saro;N pah apne hai i;hsaa;N shikastah-paa))ii kaa

 

*{721,11}

jahaa;N se miir hii ke saath jaanaa thaa lekin
ko))ii shariik nahii;N hai kisuu kii aa))ii kaa