ghazal
{770}

 
 

*{770,1}

vuh jo kashish thii us kii :taraf se kahaa;N hai ab
tiir-o-kamaa;N hai haath me;N siinah nishaa;N hai ab

{770,2}

itnaa bhii mu;Nh chhupaanaa ;xa:t aa))e pah vaj'h kyaa
la;Rkaa nahii;N hai naam-e ;xudaa tuu javaa;N hai ab

*{770,3}

phuul us chaman ke dekhte kyaa kyaa jha;Re hai;N haa))e
sail-e bahaar aa;Nkho;N se merii ravaa;N hai ab

{770,4}

jinn-o-malak zamiin-o-falak sab nikal ga))e
baar-e giraan-e ((ishq-o-dil-e naatavaa;N hai ab

*{770,5}

niklii thii us kii te;G hu))e ;xvush-na.siib log
gardan jhukaa))ii mai;N to sunaa yih amaa;N hai ab

{770,6}

zardii-e rang hai ;Gam-e poshiidah par daliil
dil me;N jo kuchh hai mu;Nh se hamaare ((ayaa;N hai ab

*{770,7}

pesh az dam-e sa;har miraa ronaa lahuu kaa dekh
phuule hai jaise saa;Njh vuhii yaa;N samaa;N hai ab

{770,8}

naalaa;N hu))ii kih yaad hame;N sab ko de ga))ii
gulshan me;N ((andaliib hamaarii zabaa;N hai ab

{770,9}

barso;N hu))e ga))e use par bhuultaa nahii;N
yaadash ba-;xair miir rahe ;xvush jahaa;N hai ab

 

{770,trans.}

Translations