ghazal
{837}

 
 

*{837,1}

kyaa kahuu;N tum se mai;N kih kyaa hai ((ishq
jaan kaa rog hai balaa hai ((ishq

*{837,2}

((ishq hii ((ishq hai jahaa;N dekho
saare ((aalam me;N bhar rahaa hai ((ishq

*{837,3}

((ishq hai :tarz-o-:taur-e ((ishq ke ta))ii;N
kahii;N bandah kahii;N ;xudaa hai ((ishq

*{837,4}

((ishq ma((shuuq ((ishq ((aashiq hai
ya((nii apnaa hii mubtalaa hai ((ishq

{837,5}

gar parastish ;xudaa kii ;saabit kii
kisuu .suurat me;N ho bhalaa hai ((ishq

*{837,6}

dil-kash aisaa kahaa;N hai dushman-e jaa;N
mudda((ii hai pah mudda((aa hai ((ishq

{837,7}

hai hamaare bhii :taur kaa ((aashiq
jis kisii ko kahii;N hu))aa hai ((ishq

{837,8}

ko))ii ;xvaahaa;N nahii;N mu;habbat kaa
to kahe jins-e naa-ravaa hai ((ishq

{837,9}

miir-jii zard hote jaate ho
kyaa kahii;N tum ne bhii kiyaa hai ((ishq