ghazal
{892}

 
 

*{892,1}

yuu;N qaidiyo;N se kab ta))ii;N ham tang-tar rahe;N
jii chaahtaa hai jaa ke kisuu or mar rahe;N

 

*{892,3}

rahte hai;N yuu;N ;havaas pareshaa;N kih juu;N kahii;N
do tiin aa ke luu;Te musaafir utar rahe;N

 

*{892,5}

aavaaragii kii sab hai;N yih ;xaanah-;xaraabiyaa;N
log aave;N dekhne ko bahut ham jo ghar rahe;N

 

*{892,9}

te;G-o-tabar rakhaa nah karo paas miir ke
aisaa nah ho kih aap ko .zaa))i(( ve kar rahe;N