ghazal
{1417}

 
 

*{1417,1}

log bahut puuchhaa karte hai;N kyaa kahye myaa;N kyaa hai ((ishq
kuchh kahte hai;N sirr-e il;aahii kuchh kahte hai;N ;xudaa hai ((ishq

*{1417,2}

((ishq kii shaan ak;sar hai arfa(( lekin shaane;N ((ajaa))ib hai;N
gah saarii hai dimaa;G-o-dil me;N gaahe sab se judaa hai ((ishq

{1417,3}

kaam hai mushkil ulfat karnaa us gulshan ke nihaalo;N se
buu-kash ho kar seb-e zaqan kaa ;Gash nah kare to sazaa hai ((ishq

{1417,4}

ulfat se parhez kiyaa kar kulfat us me;N qiyaamat hai
ya((nii dard-o-ranj-o-ta((b hai aafat-e jaan balaa hai ((ishq

*{1417,5}

miir ;xilaaf-e mizaaj mu;habbat muujib-e tal;xii-kashiidan hai
yaar-e muvaafiq mil jaave to lu:tf hai chaah mazaa hai ((ishq