ghazal
{1498}

 
 

*{1498,1}

der se ham ko bhuul ga))e ho yaad karo to bihtar hai
;Gam ;hirmaa;N kaa kab tak khe;Nche;N shaad karo to bihtar hai

{1498,2}

pahu;Nchaa huu;N mai;N duurii se marne ke nazdiik aa;xir to
qaid-e ;hayaat se bande ko aazaad karo to bihtar hai

{1498,3}

jo karyegaa ;haq me;N mere ;xuubii hai merii is hii me;N
daad karo to bihtar hai be-daad karo to bihtar hai

*{1498,4}

za;xm-e daaman-daar-e jigar se jaamah-gu;zaarii ho nah ga))ii
:zulm-e numaayaa;N ab ko))ii jo iijaad karo to bihtar hai

*{1498,5}

((ishq me;N dam maaraa nah kabhuu tum chupke chupke miir khape
lohuu mu;Nh se mal kar ab faryaad karo to bihtar hai