ghazal
{1504}

 
 

*{1504,1}

chalte ho to chaman ko chalye kahte hai;N kih bahaaraa;N hai
paat hare hai;N phuul khile hai;N kam kam baad-o-baaraa;N hai

*{1504,2}

rang havaa se yuu;N ;Tapke hai jaise sharaab chuvaate hai;N
aage ho mai-;xaane ke niklo ((ahd-e baadah-gusaaraa;N hai

*{1504,3}

((ishq ke maidaa;N-daaro;N me;N bhii marne kaa hai va.sf bahut
ya((nii mu.siibat aisii u;Thaanaa kaar-e kaar-gu;zaaraa;N hai

{1504,4}

dil hai daa;G jigar hai ;Tuk;Re aa;Nsuu saare ;xuun hu))e
lohuu paanii ek kare yih ((ishq-e laalah-((i;zaaraa;N hai

*{1504,5}

kohkan-o-majnuu;N kii ;xaa:tir dasht-o-koh me;N ham nah ga))e
((ishq me;N ham ko miir nihaayat paas-e ((izzat-daaraa;N hai