ghazal
{1537}

 
 

*{1537,1}

duur bahut bhaago ho ham se siikhe :tariiq ;Gazaalo;N kaa
va;hshat karnaa shevah hai kyaa achchhii aa;Nkho;N vaalo;N kaa

{1537,2}

.suurat-gar kii pareshaanii ne :tuul nihaayat khe;Nchaa hai
ham ne kyo;N bistaar kiyaa thaa us ke lambe baalo;N kaa

{1537,3}

bahut kiyaa thaa patthar me;N suuraa;x kiye hai;N dirafsho;N ne
chhed jigar me;N kar denaa yih kaam hai ma;hzuu;N naalo;N kaa

*{1537,4}

sarv-e lab-juu laalah-o-gul nasriin-o-saman hai;N shiguufah hai
dekho jidhar ik baa;G lagaa hai apne rangii;N ;xayaalo;N kaa

*{1537,5}

;Gunchah hu))aa hai ;xaar-e bayaabaa;N ba((d ziyaarat karne ke
paanii tabarruk karte hai;N sab paa))o;N ke mere chhaalo;N kaa

{1537,6}

pahle tadaaruk kuchh hotaa to naf((a bhii hotaa so to miir
kaam hai aa;xir ((ishq me;N us ke biimaaro;N bad-;haalo;N kaa