ghazal
{1626}

 
 

*{1626,1}

kab se aane kahte hai;N tashriif nahii;N laate hai;N hanuuz
aa;Nkhe;N mundii;N ab jaa chuke ham ve dekho to aate hai;N hanuuz

*{1626,2}

kahtaa hai barso;N se hame;N tum duur ho yaa;N se daf((a bhii ho
shauq-o-samaajat sair karo ham paas us ke jaate hai;N hanuuz

*{1626,3}

raato;N paas gale lag so))e nange ho kar hai yih ((ajab
din ko be-pardah nahii;N milte ham se sharmaate hai;N hanuuz

*{1626,4}

saath ke pa;Rhne-vaale faari;G ta;h.siil-e ((ilmii se hu))e
jahl se maktab ke la;Rko;N me;N ham dil bahlaate hai;N hanuuz

*{1626,5}

gul .sad-rang chaman me;N aa))e baad-e ;xizaa;N se bikhar bhii ga))e
((ishq-o-junuu;N kii bahaar ke ((aashiq miir-jii gul khaate hai;N hanuuz