ghazal
{1663}

 
 

*{1663,1}

kyaa ham me;N rahaa gardish-e aflaak se ab tak
phirte hai;N kumhaaro;N ke pa;Re chaak se ab tak

{1663,2}

the nau-;xa:to;N kii ;xaak se ajzaa jo baraabar
ho sabzah nikalte hai;N tah-e ;xaak se ab tak

{1663,3}

taa madd-e na:zar chhaa rahe hai;N laalah-e .sad-barg
jangal bhare hai;N sab gul-e tiryaak se ab tak

{1663,4}

dushman hu))ii hai jis ke liye saarii ;xudaa))ii
marbuu:t hai;N ham us but-e be-baak se ab tak

*{1663,5}

har chand kih daaman ta))ii;N hai chaak-e garebaa;N
ham hai;N mutavaqq((i kaf-e chaalaak se ab tak

*{1663,6}

go ;xaak sii u;Rtii hai mire mu;Nh pah junuu;N me;N
;Tapke hai lahuu diidah-e nam-naak se ab tak

*{1663,7}

ve kap;Re to badle hu))e miir us ko ka))ii din
tan par hai shikan tangii-e poshaak se ab tak