ghazal
{1882}

 
 

*{1882,1}

zamii;N aur hai aasmaa;N aur hai
tab aana:n fa))aana:n samaa;N aur hai

*{1882,2}

nah ve log hai;N ab nah ijmaa(( vuh
jahaa;N vuh nahii;N yih jahaa;N aur hai

*{1882,3}

nah un logo;N kii baat sujjhii ga))ii
yih ;xalq aur un kii zabaa;N aur hai

*{1882,4}

tujhe go kih .sad rang ho mujh se kii;N
mirii or ik mihrbaa;N aur hai

*{1882,5}

havaa rang badle hai har aan miir
zamiin-o-zamaa;N har zamaa;N aur hai