ghazal
{1896}

 
 

*{1896,1}

muddat paa-e chinaar rahe hai;N muddat gul;xan-taabii kii
barso;N hu))e hai;N ghar se nikle ((ishq ne ;xaanah-;xaraabii kii

 

*{1896,6}

jiite jaagte ab tak to hai;N lekin jaise murdah hai;N
ya((nii be-dam sust bahut hai;N ;hasrat se be-;xvaabii kii

 

*{1896,9}

nang-e ;xalq kiyaa hai ham ko aa;xir dast-e ;xaalii ne
((aalam me;N asbaab ke hai kyaa shorish be-asbaabii kii