#
First verse of the ghazal
Notes
 
 
*{501}
gire ba;hr-e balaa mizhgaan-e tar se
nigaahe;N u;Th ga))ii;N :tuufaan par se
1 v; M21; 1; on the relationship between {501} and {502} see {501,1}
*{502}
hame;N ;Gash aa gayaa thaa vuh badan dekh
ba;Rii kalval ;Talii hai jaan par se

4 v; M21; 3, 4; on the relationship between {501} and {502} see {501,1}
{503}
;xuub hai ai abr ik shab aa))o baa-ham ro))iye
par nah utnaa bhii kih ;Duube shahr kam kam ro))iye

7 v; M10
{504}
niilaa nahii;N sipihr tujhe ishtibaah hai
duud-e jigar se mere yih chhat sab siyaah hai
5 v; M5; on v.1 see G{62,8}
{505}
nahii;N vuh qaid-e ulfat me;N giriftaarii ko kyaa jaane
takalluf bar :taraf be-mihr hai yaarii ko kyaa jaane

7 v; M20
{506}
josh-e dil aa))e baham diidah-e giryaan hu))e
kitne ik ashk hu))e jam((a kih :tuufaan hu))e
8 v; M13; on v.3 see {553,4}; on v.7 see {100,7}; on v.8 see {1741,3}
{507}
yaa rab ko))ii ho ((ishq kaa biimaar nah hove
mar jaa))e vale us ko yih aazaar nah hove

12 v; M7; on v.5 see {96,6}
*{508}
burqa(( ko u;Thaa chahre se vuh but agar aave
all;aah kii qudrat kaa tamaashaa na:zar aave

10 v; M7; 2, 3; forms a 'double-ghazal' with {509}; on v.10 see {84,4}
*{509}
jab naam tiraa liijiye tab chashm bhar aave
us zindagii karne ko kahaa;N se jigar aave

11 v; M7; 1, 3, 7, 9; forms a 'double-ghazal' with {508}
{510}
lagvaa))e pathre aur buraa bhii kahaa kiye
tum ne ;huquuq dostii ke sab adaa kiye

9 v; M5
{511}
karuu;N jo aah zamiin-o-zamaan jal jaave
sipihr-e niilii kaa yih saa))ibaan jal jaave

9 v; M25
{512}
gu;zaar-e ;xvush-nigaahaa;N jis me;N hai meraa bayaabaa;N hai
savaad-e barr-e majnuu;N to charaagaah-e ;Gazaalaa;N hai

5 v; M20; on v.2 see G{166,1}
{513}
apnaa shi((aar puuchho to mihrbaa;N vafaa hai
par us ke jii me;N ham se kyaa jaaniye kih kyaa hai

11 v; M4; on v.6 see {39,3}; on v.6 see {71,3}
{514}
;haram ko jaa))iye yaa der me;N basar kariye
tirii talaash me;N ik dil kidhar kidhar kariye

7 v; M25; on v.2 see {509,1}
{515}
mashhuur chaman me;N tirii gul-pairahanii hai
qurbaa;N tire har ((a.zv pah naazuk-badanii hai

10 v; M7
{516}
ab kar ke faraamosh to naa-shaad karoge
par ham jo nah ho;Nge to bahut yaad karoge

6 v; M7; on v.6 see {482,2}
*{517}
;xvush sar-anjaam the ve jald jo hushyaar hu))e
ham to ai ham-nafasaa;N der ;xabar-daar hu))e
9 v; M13; 9; trans.
*{518}
tiraa ai naa-tavaanii jo ko))ii ((aalam me;N rusvaa hai
tavaanaa))ii kaa mu;Nh dekhaa nahii;N un ne kih kaisaa hai

7 v; M20; 3
{519}
gu;zaar-e abr ab bhii jab kabhuu iidhar ko hotaa hai
hamaarii bekasii par zaar baaraa;N der rotaa hai

9 v; M20
{520}
ham to us ke :zulm se ham-dam chale
rah sake hai tuu to rah yaa;N ham chale

7 v; M11
{521}
;Gair ne ham ko ;zib;h kiyaa nah :taaqat hai ne yaaraa hai
us kutte ne kar ke dilerii .said-e ;haram ko maaraa hai

7 v; M01; on v.7 see {545,1}
{522}
band-e qabaa ko ;xuubaa;N jis vaqt vaa kare;Nge
;xamyaazah-kash jo ho;Nge milne ke kyaa kare;Nge

10 v; M4; trans.; on v.4 see {605,1}
{523}
ham hu))e tum hu))e kih miir hu))e
us kii zulfo;N ke sab asiir hu))e

9 v; M12; on v.9 see {471,7}
{524}
tavajjuh terii ai ;hairat mirii aa;Nkho;N pah kyaa kam hai
jo mai;N har ik mizhah dekhuu;N kih yih tar hai kih yih nam hai

4 v; M20
{525}
jab kih pahluu se yaar u;Thtaa hai
dard-e be-i;xtiyaar u;Thtaa hai
3 v; M12; on v.3 see {70,9}