#
FIRST VERSE OF GHAZAL
COMMENTS
 
 
{1051}
rab:t-e dil ko us but-e be-mihr kiinah-var se hai
kyaa kahuu;N mai;N aah mujh ko kaam kis patthar se hai

13 v; M10
{1052}
kaar-e dil us mah-e tamaam se hai
kaahish ik roz mujh ko shaam se hai

10 v; M12; 1, 7, 10
{1053}
jal gayaa dil magar aise juu;N balaa nikle hai
jaise luu;N chaltii mire mu;Nh se havaa nikle hai

15 v; M13
{1054}
((ibrat se dekh jis jaa yaa;N ko))ii ghar bane hai
parde me;N chashm ;Dhakne diivaar-o-dar bane hai

11 v; M4; 10
 
3 == diivaan-e suvvum == aa
{1055}
mere maalik ne mire ;haq me;N yih i;hsaan kiyaa
;xaak naachiiz thaa mai;N so mujhe insaan kiyaa

5 v; M13
{1056}
diin-o-dil ke ;Gam ko aasaa;N naatavaa;N mai;N le gayaa
ya mu;habbat kah ke yih baar-e giraa;N mai;N le gayaa

7 v; M10; 1, 2, 3, 4, 6, 7
{1057}
meraa hi muqallid-e ((amal thaa
majnuu;N ke dimaa;G me;N ;xalal thaa

5 v; M8
{1058}
kartaa junuu;N jahaa;N me;N be-naam-o-nang aayaa
ik jam((a la;Rko;N kaa bhii le le ke sang aayaa

7 v; M4; 7
{1059}
dil agar kahtaa huu;N to kahtaa hai vuh yih dil hai kyaa
aise naadaa;N dil-rubaa ka milne kaa ;haa.sil hai kyaa

10 v; M10; 1, 2, 8
{1060}
un dil-rubo;N se raabi:tah karnaa hii kaam kyaa
kar ik salaam puuchhnaa .saa;hib kaa naam kyaa

9 v; M5
{1061}
chaal yih kyaa thii kih iidhar ko gu;zaaraa nah kiyaa
duur hii duur phire paas hamaaraa nah kiyaa
7 v; M13
{1062}
vuh dil nahii;N rahaa hai ta((ab jo u;Thaa))egaa
yaa lohuu ashk-e ;xuunii se mu;Nh par bahaa))egaa

9 v; M5
{1063}
vuh jo gulshan me;N jalvah-naak hu))aa
phuul ;Gairat se jal ke ;xaak hu))aa

5 v; M12
{1064}
kyaa ro))iye hamii;N ko yuu;N aan kar ke maaraa
mihr but digar se :tuufaan kar ke maaraa

7 v; M4
{1065}
gayaa ;husn ;xuubaan-e bad-raah kaa
hameshah rahe naam all;aah kaa

9 v; M23
{1066}
chashm se ;xuu;N hazaar niklegaa
ko))ii dil kaa bu;xaar niklegaa

7 v; M12
{1067}
i((jaaz mu;Nh take hai tire lab ke kaam kaa
kyaa ;zikr yaa;N masii;h ((alaih us-salaam kaa

9 v; M5; 5
{1068}
huu;N nishaa;N kyuu;N nah tiir ;xuubaa;N kaa
mujh pah tuudah hu))aa hai :tuufaa;N kaa

7 v; M12
{1069}
jis ;xashm se vuh sho;x chalaa aaj shab aayaa
aayaa kabhuu yaa;N din ko bhii yuu;N to ;Ga.zab aayaa

9 v; M7
{1070}
kyaa kaam kiyaa ham ne dil yuu;N nah lagaanaa thaa
us jaan kii jokho;N ko us vaqt nah janaa thaa

10 v; M6
{1071}
sahl aisaa nah thaa aa;xir jii se miraa jaanaa thaa
;Tuk ranjah qadam kar kar mujh tak use aanaa thaa

9 v; M6
{1072}
tad us bihishtii-ruu se yih ;xal:tah baham kiyaa
jad barso;N ham ne suurah-e yuusuf ko dam kiyaa
7 v; M5
{1073}
ab kii jo gul kii fa.sl me;N ham ko junuu;N hu))aa
vuh dil kih jis pah apnaa bharosaa thaa ;xuu;N hu))aa

5 v; M5
{1074}
raat se aa;Nsuu mirii aa;Nkho;N me;N phir aane lagaa
yak ramaq jii thaa badan me;N so bhii ghabraane lagaa

9 v; M10
{1075}
.zab:t karte karte ab jo lab ko mai;N ne vaa kiyaa
so bhii rahtaa huu;N yih kahtaa haa))e dil ne kyaa kiyaa

5 v; M10