#
First verse of the ghazal
Notes
 
 
*{1076}
siinah-kobii hai :tapish se ;Gam hu))aa
dil ke jaane kaa ba;Raa maatam hu))aa
7 v; M11; 1, 4, 7
{1077}
hijr kii ik aan me;N dil kaa ;Thikaanaa ho gayaa
har zamaa;N milte the baaham so zamaanah ho gayaa

7 v; M10
yaad ;xa:t me;N us ke jii bhar aa ke ghabraataa rahaa
raat kaa bhii kyaa hii me;Nh aayaa thaa par jaataa rahaa

9 v; M10; 5
*{1079}
mai;N gulsitaa;N me;N aa ke ((aba;s aashiyaa;N kiyaa
bulbul ne bhii nah :taur gulo;N kaa bayaa;N kiyaa

7 v; M5; 6
*{1080}
vafaa thii mihr thii i;xlaa.s thaa tala:t:tuf thaa
kabhuu mizaaj me;N us ke hame;N ta.sarruf thaa

5 v; M25; 5
{1081}
junuu;N me;N saath thaa kal la;Rko;N kaa lashkar jahaa;N mai;N thaa
chale aate the chaaro;N or se patthar jahaa;N mai;N thaa

7 v; M20
{1082}
gul bhii hai ma((shuuq lekin kab hai us ma;hbuub saa
aage us qad kaa hai sarv-e baa;G be-asluub saa

5 v; M10
{1083}
kabhuu vuh tavajjuh udhar kar rahegaa
hame;N ((ishq hai to a;sar kar rahegaa

3 v; M22
{1084}
miir kaa .su;hbat me;N us kii ;harf sar kar rah gayaa
pesh jaate kuchh nah dekhii chashm tar kar rah gayaa

5 v; M10
{1085}
mujh zaar ne kyaa garmii-e baazaar se paayaa
kibriit nama:t jin ne liyaa mujh ko jilaayaa

10 v; M7
{1086}
jab gul kahe hai apne ta))ii;N yaar ke ruu saa
tab aa;Nkho;N tale merii utartaa hai lahuu saa

7 v; M7; on v.3 see {1750,4}
{1087}
agar vuh maah nikal ghar se ;Tuk udhar aataa
to ruk ke mu;Nh ta))ii;N kaahe ko shab jigar aataa

5 v; M25
*{1088}
vuh kam-numaa-o-dil hai shaa))iq kamaal us kaa
jo ko))ii us ko chaahe :zaahir hai ;haal us kaa

9 v; M4; 1, 2, 9
{1089}
zaar rakhaa be-;haal rakhaa be-taab rakhaa biimaar rakhaa
;haal rakhaa thaa kuchh bhii ham ne ((ishq ne aa;xir maar rakhaa

5 v; M01
{1090}
dil raat din rahe hai siine me;N ((ishq maltaa
har-chand chaahtaa huu;N par jii nahii;N sa;Nbhaltaa

7 v; M4
*{1091}
bosah us but kaa le ke mu;Nh mo;Raa
bhaarii patthar thaa chuum kar chho;Raa
7 v; M12; 1, 3, 4
{1092}
hai ((ishq me;N .sabr naa-ga;Nvaaraa
phir .sabr bin aur kyaa hai chaaraa

9 v; M8
{1093}
dil ((ajab charche kii jaagah thii so viiraanah hu))aa
josh-e ;Gam se jii jo bolaayaa so diivaanah hu))aa

5 v; M10
*{1094}
kyaa kahe ;haal kahii;N dil-zadah jaa kar apnaa
dil nah apnaa hai mu;habbat me;N nah dil-bar apnaa

12 v; M13; 2, 3, 4, 10, 11; on v.8 see {1040,4}
{1095}
kyaa miir-e dil-shikastah bhii va;hshii mi;saal thaa
dunbaalah gard chashm-e siyaah-e ;Gazaal thaa

7 v; M5
{1096}
un ne khe;Nchaa hai mire haath se daamaa;N apnaa
kyaa karuu;N gar nah karuu;N chaak garebaa;N apnaa

7 v; M13
{1097}
dil ((ajab shahr thaa ;xayaalo;N kaa
luu;Taa maaraa hai ;husn-vaalo;N kaa

5v; M12
*{1098}
a;hvaal nah puuchho kuchh ham :zulm-rasiido;N kaa
kyaa ;haal mu;habbat ke aazaar-kashiido;N kaa

7 v; M6; 1, 2, 3, 5
{1099}
sa:t;h jo haatho;N me;N thaa us ke ru;x-e gul-faam kaa
haath malnaa kaam hai ab ((aashiq-e bad-naam kaa
5 v; M10
{1100}
kal raat ro ke .sub;h talak mai;N rahaa giraa
;xuu;N-baar merii aa;Nkho;N se kyaa jaanuu;N kyaa giraa

7 v; M5