#
First verse of the ghazal
Notes
 
 
{1476}
kaam kiye hai;N shauq se .zaa))i(( .sabr nah aayaa yaaro;N ko
maar rakhaa betaabii-e dil ne ham sab ;Gam ke maaro;N ko

5 v; M01
*{1477}
jii rukaa rukne se pare kuchh to
aasmaa;N aa gayaa vare kuchh to
5 v; M12; 3
{1478}
raftan-e rangiin-e gul-ruuyaa;N se kyaa ;Thahraa))o ho
saath un ke chal tamaashaa kar le jis ko chaa))o ho

5 v; M10
{1479}
jii kii laag balaa hai ko))ii dil jiine se u;Thaa bai;Tho
ho ke faqiir galii me;N kisuu kii ranj u;Thaa))o jaa bai;Tho

7 v; M01; on v.5 see {921,6}
*{1480}
.sabr kahaa;N jo tum ko kahiye lag ke gale se so jaa))o
bolo nah bolo bai;Tho nah bai;Tho kha;Re kha;Re ;Tuk ho jaa))o

3 v; M01; all three verses
 
4 == diivaan-e chahaarum == h
{1481}
yaar .sad ;haif kih begaanah rahaa apne saath
aashnaayaanah nah kii ko))ii adaa apne saath

6 v; M13
{1482}
garmii se ((aashiqii kii aa;xir ko ho rahaa kuchh
paanii hu))aa hai kuchh to meraa jigar jalaa kuchh
11 v; M4; on v.10 see {897,1}; on v.11 see {1526,1}
{1483}
;hairat-:talab ko kaam nahii;N hai kisuu ke saath
jaan-e ((aziiz abhii hai mirii aabruu ke saath

6 v; M5
{1484}
sar to bahut bakheraa par faa))idah kiyaa nah
uljhaa))o thaa jo us kii zulfo;N se so gayaa nah

12 v; M4; on v.8 see {60,3}
{1485}
;Gam-e faut se bande aazaad rah
;xudaa hai to kyaa ;Gam hai dil-shaad rah

1 v; M23
{1486}
chaah me;N dil par :zulm-o-sitam hai jaur-o-jafaa hai kyaa kyaa kuchh
dard-o-alam hai kulfat-o-;Gam hai ranj-o-balaa hai kyaa kyaa kuchh

7 v; M01
 
4 == diivaan-e chahaarum == e , ii
{1487}
mai;N to tunuk-.sabarii se apnii rah nahii;N saktaa ik dam bhii
naaz-o-;Guruur bahut hai us kaa lu:tf nahii;N hai kam kam bhii

7 v; M01
{1488}
naqd-e dil ;Gaflat se khoyaa raah-e kho;Tii kar ga))e
kaaravaa;N jaataa rahaa ham ;xvaab hii me;N mar ga))e
3 v; M10
{1489}
ay kaash ko))ii jaa kar kah'h aave yaar se bhii
yaa;N kaam jaa chukaa hai ab i;xtiyaar se bhii

7 v; M4
{1490}
;xvaar phiraayaa galyo;N galyo;N sar maare diivaaro;N se
kyaa kyaa un ne suluuk kiye hai;N shahr ke ((izzat-daaro;N se

9 v; M01
{1491}
zor-kash he;Nge ((ishq ke ham bhii
ham ne khe;Nchii kamaan-e rustam bhii

7 v; M12; on v.3 see {485,3}
{1492}
lu:tf hai kyaa anvaa((-e sitam jo us ke ko))ii bayaan kare
gosh-zad ik din hove;N kahii;N to be-lu:tfii se zabaan kare

7 v; M01
{1493}
be-dil hu))e be-dii;N hu))e be-vaqr ham at-gat hu))e
be-kas hu))e be-bas hu))e be-kal hu))e be-gat hu))e

7 v; M3; on v.1 see {958,1}
*{1494}
baa;G me;N sair kabhuu ham bhii kiyaa karte the
ravish-e aab-e ravaa;N phaile phiraa karte the

8 v; M13; 1, 2, 3; on v.4 see {1496,4}; on v.8 see {292,9}
{1495}
;haal nahii;n hai dil me mu:tlaq shor-o-fi;Gaa;N rusvaa))ii hai
yaar gayaa majlis se dekhe;N kis kis kii ab aa))ii hai

9 v; M01; on v.3 see {584,3}; on v.4 see {1504,5}
*{1496}
dunyaa kii qadr kyaa jo :talab-gaar ho ko))ii
kuchh chiiz maal ho to ;xariidaar ho ko))ii

9 v; M5; 4
{1497}
un ;hinaa))ii dast-o-paa se dil lagii sii hai abhii
mai;N ne naa;xun-bandii apnii ((ishq me;N kii hai abhii

7 v; M10
*{1498}
der se ham ko bhuul ga))e ho yaad karo to bahtar hai
;Gam ;hirmaa;N kaa kab tak khe;Nche;N shaad karo to bahtar hai

5 v; M01; 1, 4, 5; on v.3 see {1498,1}
{1499}
mil ahl-e ba.siirat se kuchh de hii dikhaa de;Nge
le ;xaak kii ko))ii chu;Tkii aksiir banaa de;Nge

7 v; M6
{1500}
jangal me;N chashm kis se bastii kii rahbarii kii
.saa;hib hii ne hamaare yih bandah-parvarii kii

10 v; M4; on v.2 see {471,3}; on v.10 see {107,3}