#
First verse of the ghazal
Notes
 
 
*{1526}
kyaa kyaa ham ne ranj u;Thaa))e kyaa kyaa ham bhii shikebaa the
do din juu;N tuu;N jiite rahe so marne hii ke muhyaa the

5 v; M01; 1, 2, 4; on v.5 see {1526,4}
{1527}
ranj kii us ke jo ;xabar gu;zre
raftah vaaraftah us kaa mar gu;zre

7 v; M12
{1528}
jab se aa;Nkhe;N khulii hai;N apnii dard-o-ranj-o-;Gam dekhe
un hii diidah-e ;Gam-diido;N se kyaa kyaa ham ne sitam dekhe

5 v; M01; on v.3 see {1201,2}
{1529}
;xvaahish-e dil se jii kii taab ga))ii
aa;Nkhe;N us se lagii;N so ;xvaab ga))ii

5 v; M12; on v.4 see {17,3}
{1530}
yaa rab us kaa sitam sahaa bhii jaa))e
panjah ;xvurshiid kaa gahaa bhii jaa))e

5 v; M12
{1531}
ab tark kar libaas tavakkul hii kar rahe
jab se kulaah sar pah rakhii dar bah dar rahe

8 v; M5; on v.7 see {892,3}
{1532}
phir ab chalo chaman me;N khile ;Gunche ruk ga))e
shaa;xo;N samet phuul nihaalo;N ke jhuk ga))e

3 v; M5; on v.3 see {1507,5}
*{1533}
aaj hame;N betaabii sii hai .sabr kii dil se ru;x.sat thii
chaaro;N or nigah karne me;N ((aalam ((aalam ;hasrat thii

7 v; M01; 1, 4, 5
5 == diivaan-e panjum == aa
{1534}
dil raftah-e jamaal hai us ;zuu ul-jalaal kaa
mustajmi((-e jamii((-e .sifaat-o-kamaal kaa
5 v; M5
{1535}
hai ;harf-e ;xaamah dil-zadah ;husn-e qabuul kaa
ya((nii ;xayaal sar me;N hai na((t-e rasuul kaa
7 v; M5; on v.5 see {344,5}
*{1536}
((ishq to bin rusvaa-e ((aalam baa((i;s hai rusvaa))ii kaa
mail-e dilii us ;xvud-sar se hai jo paayaa hai ;xudaa))ii kaa

7 v; M01; 5; on v.1 see {1526,2}
*{1537}
duur bahut thaa go ho ham se siikhe :tariiq ;Gazaalo;N kaa
va;hshat karnaa shevah hai kyaa achchhii aa;Nkho;N vaalo;N kaa

6 v; M01; 1, 4, 5
{1538}
agar ha;Nstaa use sair-e chaman me;N ab ke paa))uu;Ngaa
to bulbul aashiyaa;N teraa hii mai;N phuulo;N se chhaa))uu;Ngaa

7 v; M20
{1539}
rusvaa-e shahr hai yaa;N ;harf-o-su;xan hamaaraa
kyaa ;xaak me;N milaa hai afsos fan hamaaraa

5 v; M4
{1540}
mu;Nh apnaa kabhuu vuh idhar kar rahegaa
hame;N ((ishq hai to a;sar kar rahegaa

5 v; M22
{1541}
su;xan-mushtaaq hai ((aalam hamaaraa
;Ganiimat hai jahaa;N me;N dam hamaaraa

5 v; M21
*{1542}
kyaa puuchho ho kyaa kahye myaa;N dil ne bhii kyaa kaam kiyaa
((ishq kiyaa naa-kaam rahaa aa;xir ko kaam tamaam kiyaa

9 v; M01; 5
{1543}
((ishq ho ;hevaan kaa yaa uns ho insaan kaa
laag jii kii jis se ho dushman hai apnii jaan kaa

9 v; M10; on v.5 see {544,9}; on v.6 see the Project page; on v.6 see SRF's article; on v.8 see {1278,6}
{1544}
((ishq hamaare ;xayaal pa;Raa hai ;xvaab ga))ii aaraam gayaa
jii kaa jaanaa ;Thahr rahaa hai .sub;h gayaa yaa shaam gayaa

8 v; M01
*{1545}
:tauf-e mashhad ko kal jo jaa))uu;Ngaa
te;G-e qaatil ko sar cha;Rhaa))uu;Ngaa

5 v; M12; 2
{1546}
har jaa phiraa ;Gubaar hamaaraa u;Raa hu))aa
terii galii me;N laa))ii .sabaa to bajaa hu))aa

3 v; M5
{1547}
pahluu se u;Th gayaa hai vuh naazanii;N hamaaraa
juz dard ab nahii;N hai pahluu-nishii;N hamaaraa

9 v; M4; on v.9 see {1460,6}
*{1548}
aaj hamaaraa dil ta;Rphe hai ko))ii udhar se aavegaa
yaa kih navishtah un haatho;N kaa qaa.sid ham tak laavegaa

9 v; M01; 1, 8, 9
{1549}
shai;x ;haram se la;R ke chalaa huu;N ab ka((be me;N nah aa))uu;Ngaa
taa but-;xaanah har qadam uupar sijdah kartaa jaa))uu;Ngaa

6 v; M01
{1550}
kaisii sa((ii-e ;havaadi;s ne kii aa;xir-kaar halaak kiyaa
kyaa kyaa char;x ne chakkar maare piis ke mu;Nh ko ;xaak kiyaa

5 v; M01; on v.4 see {1794,4}