#
First verse of the ghazal
Notes
 
 
{1551}
ba((d hamaare us fan kaa jo ko))ii maahir hovegaa
dard-aagii;N andaaz kii baate;N ak;sar pa;Rh pa;Rh rovegaa

3 v; M01
{1552}
naa-gaah jis ko ((ishq kaa aazaar ho gayaa
sahl aage us ke mardan-e dushvaar ho gayaa

7 v; M5; on v.5 see {897,7}
{1553}
phirte phirte us ke liye mai;N aa;xir dasht-navard hu))aa
dekh aa;Nkhe;N vuh surmah-gii;N mai;N phir dunbaalah-gard hu))aa

4 v; M01; on v.2 see {1333,1}
*{1554}
((ishq-e .samad me;N jaan chalii vuh chaahat kaa armaan gayaa
taazah kiyaa paimaan .sanam se diin gayaa iimaan gayaa

7 v; M01; 1, 3, [6], 7; on v.4 see {1469,3}
{1555}
dil ta;Rphe hai jaan khape hai ;haal jigar kaa kyaa hogaa
majnuu;N majnuu;N log kahe hai;N majnuu;N kyaa ham saa hogaa

7 v; M01
{1556}
jaa;zbah meraa thaa kaamil so bande ke vuh ghar aayaa
shukr ;xudaa kaa karye kahaa;N tak ((ahd-e firaaq basar aayaa

7 v; M01
{1557}
ab yaa;N se ham u;Th jaa))e;Nge ;xalq-e ;xudaa mulk-e ;xudaa
hargiz nah iidhar aa))e;Nge ;xalq-e ;xudaa mulk-e ;xudaa

7 v; M3; on v.4 see {1337,2}
{1558}
us kii sii jo chale hai raah to kyaa
aasmaa;N par gayaa hai maah to kyaa

9 v; M12
{1559}
baat kahte jii kaa jaanaa ho gayaa
marnaa ((aashiq kaa bahaanah ho gayaa

7 v; M11
{1560}
((ishq-e balaa pur-shor-o-shar ne jab maidaan me;N ;xam maaraa
paak hu))ii kushtii ((aalam kii aage kin ne dam maaraa
7 v; M01
{1561}
chaah me;N jaur ham pah kam nah hu))aa
((aashiqii kii to kuchh sitam nah hu))aa

5 v; M12
{1562}
kal talak daa;Go;N se ;xuu;N ke daaman-e zii;N paak thaa
aaj to kushtah ko))ii kyaa ziinat-e fitraak thaa

10 v; M10
{1563}
judaa us siim-tan se kaisaa honaa
kih mi;T;Tii ko;Re kaa ab hai bichhonaa

3 v; M21
{1564}
sar maarnaa patthar se yaa ;Tuk;Re jigar karnaa
us ((ishq kii vaadii me;N har nau(( basar karnaa

3 v; M6; on v.3 see {508,3}
{1565}
dil ke ;xuu;N hone kaa ;Gam kyaa ab se thaa
siinah-kohii sa;xt maatam kab se thaa

5 v; M11; on v.3 see {1785,2}
{1566}
((ishq kiye pachhtaa))e ham to dil nah kisuu se lagaanaa thaa
jiidhar ho vuh mah niklaa us raah nah ham ko jaanaa thaa

5 v; M01
*{1567}
naa;xun se buu al-havas kaa gilaa yuu;N hii jhil gayaa
lohuu lagaa ke vuh bhii shahiido;N me;N mil gayaa

7 v; M5; 2
{1568}
ek nah ;xvaahish bar aa))ii taa jii kaa ;Gubaar nikal jaataa
kaash kih aahuu-chashm apnaa aa;Nkho;N ko paa))o;N se mal jaataa

7 v; M01
{1569}
kyaa kyaa ((ishq me;N ranj u;Thaa))e dil apnaa sab ;xuun hu))aa
kaise rukte the ;xafagii se aa;xir-kaar junuun hu))aa

3 v; M01
{1570}
aayaa so aap te;G hii mujh ko cha;Taa gayaa
thaa vuh barandah za;xmo;N pah mai;N za;xm khaa gayaa

7 v; M5; on v.4 see {452,2}
{1571 }
kuchh andeshah ham ko nahii;N hai apne ;haal-e darham kaa
aa;Th pahar rahtaa hai ronaa us kii duurii ke ;Gam kaa

7 v; M01
{1572}
gul-chii;N nahii;N jo ko))ii bhii us taazah chaman kaa
kyuu;N rang phiraa saa hai tire seb-e ;zafan kaa

5 v; M7
{1573}
yih to judaa))ii juu;N tuu;N ka;Tii hai milyegaa to kahyegaa
paas hamaaraa go nah karo tum paas hii ab se rahyegaa

1 v; M01
5 == diivaan-e panjum == b
*{1574}
kab se .su;hbat biga;R rahii hai kyuu;N-kar ko))ii banaave ab
naaz-o-niyaaz kaa jhag;Raa aisaa kis ke kane le jaave ab

7 v; M01; 1, 2, 6
{1575}
dil ;xuu;N hu))aa thaa yaksar paanii hu))aa jigar sab
;xuu;N-bastah rahtiyaa;N thii;N palke;N so ab hai;N tar sab

5 v; M4