Agra Fort

Fatahpur Sikri, from the Berger Collection

 

Ghazal 17

9 divan verses (out of 9); rhyming elements: aa;N honaa
composed 1821; Arshi #23

{17,1}

baskih dushvaar hai har kaam kaa aasaa;N honaa
aadmii ko bhii muyassar nahii;N insaa;N honaa

{17,2}

giryah chaahe hai ;xaraabii mire kaashaane kii
dar-o-diivaar se ;Tapke hai bayaabaa;N honaa

{17,3}

vaa))e diivaanagii-e shauq kih har dam mujh ko
aap jaanaa udhar aur aap hii ;hairaa;N honaa

{17,4}

jalvah az-baskih taqaa.zaa-e nigah kartaa hai
jauhar-e aa))inah bhii chaahe hai mizhgaa;N honaa

{17,5}

((ishrat-e qatl-gah-e ahl-e tamannaa mat puuchh
((iid-e na:z:zaarah hai shamshiir kaa ((uryaa;N honaa

{17,6}

le ga))e ;xaak me;N ham daa;G-e tamannaa-e nashaa:t
tuu ho aur aap bah .sad-rang gulistaa;N honaa

{17,7}

((ishrat-e paarah-e dil za;xm-e tamannaa khaanaa
la;z;zat-e resh-e jigar ;Garq-e namak-daa;N honaa

{17,8}

kii mire qatl ke ba((d us ne jafaa se taubah
haa))e us zuud-pashemaa;N kaa pashemaa;N honaa

{17,9}

;haif us chaar girih kap;Re kii qismat ;Gaalib
jis kii qismat me;N ho ((aashiq kaa garebaa;N honaa