Tughluqabad

Akbar's tomb at Sikandra, from the Berger Collection

 

Ghazal 61

8 divan verses (out of 9); rhyming elements: aa;N par
composed 1821; Arshi #59

{61,1}

laraztaa hai miraa dil za;hmat-e mihr-e dara;xshaa;N par
mai;N huu;N vuh qa:trah-e shabnam kih ho ;xaar-e bayaabaa;N par

{61,2}

nah chho;Rii ;ha.zrat-e yuusuf ne yaa;N bhii ;xaanah-aaraa))ii
safedii diidah-e ya((quub kii phirtii hai zindaa;N par

{61,3}

fanaa-ta((liim-e dars-e be-;xvudii huu;N us zamaane se
kih majnuu;N laam alif likhtaa thaa diivaar-e dabistaa;N par

{61,4}

faraa;Gat kis qadar rahtii mujhe tashviish-e marham se
baham gar .sul;h karte paarah'haa-e dil namak-daa;N par

{61,5}

nahii;N iqliim-e ulfat me;N ko))ii :tuumaar-e naaz aisaa
kih pusht-e chashm se jis ke nah hove muhr ((unvaa;N par

{61,6}

mujhe ab dekh kar abr-e shafaq-aaluudah yaad aayaa
kih furqat me;N tirii aatish barastii thii gulistaa;N par

{61,7}

bah juz parvaaz-e shauq-e naaz kyaa baaqii rahaa hogaa
qiyaamat ik havaa-e tund hai ;xaak-e shahiidaa;N par

{61,8}

nah la;R naa.si;h se ;Gaalib kyaa hu))aa gar us ne shiddat kii
hamaaraa bhii to aa;xir zor chaltaa hai garebaa;N par

The unpublished verse from this ghazal:

{61,9x}

dil-e ;xuunii;N-jigar be-.sabr-o-fai.z-e ((ishq musta;Gnii
il;aahii yak-qiyaamat ;xaavar aa ;Tuu;Te bada;xshaa;N par