Tughluqabad

Akbar's tomb at Sikandra, from the Berger Collection

 

Ghazal 64

6 divan verses (out of 9); rhyming elements: an par
composed 1816; Arshi #62

{64,1}

junuu;N kii dast-giirii kis se ho gar ho nah ((uryaanii
garebaa;N-chaak kaa ;haq ho gayaa hai merii gardan par

{64,2}

bah rang-e kaa;Ga;z-e aatish-zadah nairang-e betaabii
hazaar aa))iinah dil baa;Ndhe hai baal-e yak tapiidan par

{64,3}

falak se ham ko ((aish-e raftah kaa kyaa kyaa taqaa.zaa hai
mataa((-e burdah ko samjhe hu))e hai;N qar.z rahzan par

{64,4}

ham aur vuh be-sabab ranj-aashnaa dushman kih rakhtaa hai
shu((aa-e mihr se tuhmat nigah kii chashm-e rauzan par

{64,5}

fanaa ko sau;Np gar mushtaaq hai apnii ;haqiiqat kaa
furo;G-e :taala((-e ;xaashaak hai mauquuf gul;xan par

{64,6}

asad bismil hai kis andaaz kaa qaatil se kahtaa hai
kih mashq-e naaz kar ;xuun-e do-((aalam merii gardan par

The unpublished verses from this ghazal:

{64,7x}

fusuun-e yak-dilii hai la;z;zat-e bedaad dushman par
kih vaj'h-e barq jyuu;N parvaanah baal-afshaa;N hai ;xirman par

{64,8x}

takalluf ;xaar-;xaar-e iltimaas-e be-qaraarii hai
kih rishtah baa;Ndhtaa hai pairahan angusht-e sozan par

{64,9x}

yih kyaa va;hshat hai ai diivaane pesh az marg vaa-vailaa
rakhii be-jaa binaa-e ;xaanah-e zanjiir shevan par