Tughluqabad

Akbar's tomb at Sikandra, from the Berger Collection

 

Ghazal 66

10 divan verses (out of 10); rhyming elements: aa ko))ii din aur
composed 1852; Arshi #66

{66,1}

laazim thaa kih dekho miraa rastaa ko))ii din aur
tanhaa gaye kyuu;N ab raho tanhaa ko))ii din aur

{66,2}

mi;T jaa))egaa sar gar tiraa patthar nah ghisegaa
huu;N dar pah tire naa.siyah-farsaa ko))ii din aur

{66,3}

aaye ho kal aur aaj hii kahte ho kih jaa))uu;N
maanaa kih hameshah nahii;N achchhaa ko))ii din aur

{66,4}

jaate hu))e kahte ho qiyaamat ko mile;Nge
kyaa ;xuub qiyaamat kaa hai goyaa ko))ii din aur

{66,5}

haa;N ai falak-e piir javaa;N thaa abhii ((aarif
kyaa teraa biga;Rtaa jo nah martaa ko))ii din aur

{66,6}

tum maah-e shab-e chaar-daham the mire ghar ke
phir kyuu;N nah rahaa ghar kaa vuh naqshaa ko))ii din aur

{66,7}

tum kaun-se the aise khare daad-o-sitad ke
kartaa malak ul-maut taqaa.zaa ko))ii din aur

{66,8}

mujh se tumhe;N nafrat sahii naiyar se la;Raa))ii
bachcho;N kaa bhii dekhaa nah tamaashaa ko))ii din aur

{66,9}

guzrii nah bah har ;haal yih muddat ;xvush-o-naa-;xvush
karnaa thaa javaa;N-marg guzaaraa ko))ii din aur

{66,10}

naadaa;N ho jo kahte ho kih kyuu;N jiite hai;N ;Gaalib
qismat me;N hai marne kii tamannaa ko))ii din aur