Tughluqabad

Humayun's tomb, from the Berger Collection

 

Ghazal 75

7 divan verses (out of 7); rhyming elements: aanii-e sham((a
composed 1816; Arshi #75

{75,1}

ru;x-e nigaar se hai soz-e jaavidaanii-e sham((a
hu))ii hai aatish-e gul aab-e zindagaanii-e sham((a

{75,2}

zabaan-e ahl-e zabaa;N me;N hai marg ;xaamoshii
yih baat bazm me;N raushan hu))ii zabaanii-e sham((a

{75,3}

kare hai .sirf bah iimaa-e shu((lah qi.s.sah tamaam
bah :tarz-e ahl-e fanaa hai fasaanah-;xvaanii-e sham((a

{75,4}

;Gam us ko ;hasrat-e parvaanah kaa hai ai shu((le
tire larazne se :zaahir hai naa-tavaanii-e sham((a

{75,5}

tire ;xayaal se ruu;h ihtizaaz kartii hai
bah jalvah-rezii-e baad-o-bah par-fishaanii-e sham((a

{75,6}

nashaa:t-e daa;G-e ;Gam-e ((ishq kii bahaar nah puuchh
shiguftagii hai shahiid-e gul-e ;xizaanii-e sham((a

{75,7}

jale hai dekh ke baaliin-e yaar par mujh ko
nah kyuu;N ho dil pah mire daa;G-e bad-gumaanii-e sham((a