-Tughluqabad

Qubbat ul-Islam Mosque, from the Berger Collection

 

Ghazal 101

10 divan verses (out of 10); rhyming elements: aad nahii;N
composed after 1826; Arshi #104

{101,1}

naalah juz ;husn-e :talab ai sitam-iijaad nahii;N
hai taqaa.zaa-e jafaa shikvah-e bedaad nahii;N

{101,2}

((ishq-o-mazduurii-e ((ishrat-gah-e ;xusrau kyaa ;xuub
ham ko tasliim niko-naamii-e farhaad nahii;N

{101,3}

kam nahii;N vuh bhii ;xaraabii me;N pah vus((at ma((luum
dasht me;N hai mujhe vuh ((aish kih ghar yaad nahii;N

{101,4}

ahl-e biinish ko hai :tuufaan-e ;havaadi;s maktab
la:tmah-e mauj kam az siilii-e ustaad nahii;N

{101,5}

vaa))e ma;hruumii-e tasliim-o-badaa ;haal-e vafaa
jaantaa hai kih hame;N :taaqat-e faryaad nahii;N

{101,6}

rang-e tamkiin-e gul-o-laalah pareshaa;N kyuu;N hai
gar chiraa;Gaan-e sar-e rah-guzar-e baad nahii;N

{101,7}

sabad-e gul ke tale band kare hai gul-chiin
muzhdah ai mur;G kih gulzaar me;N .saiyaad nahii;N

{101,8}

nafii se kartii hai i;sbaat taraavish goyaa
dii hai jaa-e dahan us ko dam-e iijaad nahii;N

{101,9}

kam nahii;N jalvah-garii me;N tire kuuche se bihisht
yihii naqshah hai vale is qadar aabaad nahii;N

{101,10}

karte kis mu;Nh se ho ;Gurbat kii shikaayat ;Gaalib
tum ko be-mihrii-e yaaraan-e va:tan yaad nahii;N