Tughluqabad

Qubbat ul-Islam Mosque, from the Berger Collection

 

Ghazal 107

7 divan verses (out of 7); rhyming elements: aad nahii;N
composed 1855; Arshi #115

{107,1}

nahii;N kih mujh ko qiyaamat kaa i((tiqaad nahii;N
shab-e firaaq se roz-e jazaa ziyaad nahii;N

{107,2}

ko))ii kahe kih shab-e mah me;N kyaa buraa))ii hai
balaa se aaj agar din ko abr-o-baad nahii;N

{107,3}

jo aa))uu;N saamne un ke to mar;habaa nah kahe;N
jo jaa))uu;N vaa;N se kahii;N ko to ;xair-baad nahii;N

{107,4}

kabhii jo yaad bhii aataa huu;N mai;N to kahte hai;N
kih aaj bazm me;N kuchh fitnah-o-fasaad nahii;N

{107,5}

((alaavah ((iid ke miltii hai aur din bhii sharaab
gadaa-e kuuchah-e mai-;xaanah naa-muraad nahii;N

{107,6}

jahaa;N me;N ho ;Gam-o-shaadii baham hame;N kyaa kaam
diyaa hai ham ko ;xudaa ne vuh dil kih shaad nahii;N

{107,7}

tum un ke va((de kaa ;zikr un se kyuu;N karo ;Gaalib
yih kyaa kih tum kaho aur vuh kahe;N kih yaad nahii;N