Tughluqabad

Qubbat ul-Islam Mosque, from the Berger Collection

 

Ghazal 114

7 divan verses (out of 7); rhyming elements: ar me;N ;xaak nahii;N
composed 1826; Arshi #101

{114,1}

maze jahaan ke apnii na:zar me;N ;xaak nahii;N
sivaa-e ;xuun-e jigar so jigar me;N ;xaak nahii;N

{114,2}

magar ;Gubaar hu))e par havaa u;Raa le jaa))e
vagarnah taab-o-tavaa;N baal-o-par me;N ;xaak nahii;N

{114,3}

yih kis bihisht-shamaa))il kii aamad aamad hai
kih ;Gair-e jalvah-e gul rah-guzar me;N ;xaak nahii;N

{114,4}

bhalaa use nah sahii kuchh mujhii ko ra;hm aataa
a;sar mire nafas-e be-a;sar me;N ;xaak nahii;N

{114,5}

;xayaal-e jalvah-e gul se ;xaraab hai;N mai-kash
sharaab-;xaane ke diivaar-o-dar me;N ;xaak nahii;N

{114,6}

hu))aa huu;N ((ishq kii ;Gaarat-garii se sharmindah
sivaa-e ;hasrat-e ta((miir ghar me;N ;xaak nahii;N

{114,7}

hamaare shi((r hai;N ab .sirf dillagii ke asad
khulaa kih faa))idah ((ar.z-e hunar me;N ;xaak nahii;N