Tughluqabad

Itimad ud-Daulah's tomb, from the Berger Collection

 

Ghazal 125

10 divan verses (out of 10); rhyming elements: o to kyuu;Nkar ho
composed 1853; Arshi #125

{125,1}

ga))ii vuh baat kih ho guft-go to kyuu;Nkar ho
kahe se kuchh nah hu))aa phir kaho to kyuu;Nkar ho

{125,2}

hamaare ;zahn me;N us fikr kaa hai naam vi.saal
kih gar nah ho to kahaa;N jaa))e;N ho to kyuu;Nkar ho

{125,3}

adab hai aur yihii kashmakash to kyaa kiije
;hayaa hai aur yihii gomago to kyuu;Nkar ho

{125,4}

tumhii;N kaho kih guzaaraa .sanam-parasto;N kaa
buto;N kii ho agar aisii hii ;xo to kyuu;Nkar ho

{125,5}

ulajhte ho tum agar dekhte ho aa))iinah
jo tum se shahr me;N ho;N ek do to kyuu;Nkar ho

{125,6}

jise na.siib ho roz-e siyaah meraa saa
vuh sha;x.s din nah kahe raat ko to kyuu;Nkar ho

{125,7}

hame;N phir un se umiid aur u;Nhe;N hamaarii qadr
hamaarii baat hii puuchhe;N nah vo to kyuu;Nkar ho

{125,8}

;Gala:t nah thaa hame;N ;xa:t par gumaa;N tasallii kaa
nah maane diidah-e diidaar-jo to kyuu;Nkar ho

{125,9}

bataa))o us mizhah ko dekh kar kih mujh ko qaraar
yih nesh ho rag-e jaa;N me;N faro to kyuu;Nkar ho

{125,10}

mujhe junuu;N nahii;N ;Gaalib vale bah qaul-e ;hu.zuur
firaaq-e yaar me;N taskiin ho to kyuu;Nkar ho