Tughluqabad

Itimad ud-Daulah's tomb, from the Berger Collection

 

Ghazal 127

3 verses; meter G1; rhyming elements: aa;N ko))ii nah ho
composed 1833; Hamid p. 105; Arshi #121; Raza p. 278

{127,1}

rahye ab aisii jagah chal kar jahaa;N ko))ii nah ho
ham-su;xan ko))ii nah ho aur ham-zabaa;N ko))ii nah ho

{127,2}

be-dar-o-diivaar saa ik ghar banaayaa chaahiye
ko))ii ham-saayah nah ho aur paasbaa;N ko))ii nah ho

{127,3}

pa;Rye gar biimaar to ko))ii nah ho biimaar-daar
aur agar mar jaa))iye to nau;hah-;xvaa;N ko))ii nah ho