Tughluqabad

Agra Fort, from the Berger Collection

 

Ghazal 141

7 divan verses (out of 8); rhyming elements: aal hai
composed 1821; Arshi #138

{141,1}

gar ;xaamushii se faa))idah i;xfaa-e ;haal hai
;xvush huu;N kih merii baat samajhnii mu;haal hai

{141,2}

kis ko sunaa))uu;N ;hasrat-e i:zhaar kaa gilah
dil fard-e jam((-o-;xarj-e zabaa;Nhaa-e laal hai

{141,3}

kis parde me;N hai aa))inah-pardaaz ai ;xudaa
ra;hmat kih ((u;zr-;xvaah-e lab-e be-savaal hai

{141,4}

hai hai ;xudaa nah ;xvaastah vuh aur dushmanii
ai shauq-e munfa((il yih tujhe kyaa ;xayaal hai

{141,5}

mushkii;N libaas-e ka((bah ((alii ke qadam se jaan
naaf-e zamiin hai nah kih naaf-e ;Gazaal hai

{141,6}

va;hshat pah merii ((ar.sah-e aafaaq tang thaa
daryaa zamiin ko ((araq-e infi((aal hai

{141,7}

hastii ke mat fareb me;N aa jaa))iyo asad
((aalam tamaam ;halqah-e daam-e ;xayaal hai

The unpublished verse from this ghazal:

{141,8x}

pahluu tihii nah kar ;Gam-o-andoh se asad
dil vaqf-e dard rakh kih faqiiro;N kaa maal hai