Tughluqabad

Agra Fort, from the Berger Collection

 

Ghazal 152

7 divan verses (out of 7); rhyming elements: aab hai
composed 1821; Arshi #140

{152,1}

raftaar-e ((umr qa:t((-e rah-e i.z:tiraab hai
is saal ke ;hisaab ko barq aaftaab hai

{152,2}

miinaa-e mai hai sarv nashaa:t-e bahaar se
baal-e tadarv jalvah-e mauj-e sharaab hai

{152,3}

za;xmii hu))aa hai paashnah paa-e ;sabaat kaa
ne bhaagne kii gau;N nah iqaamat kii taab hai

{152,4}

jaadaad-e baadah-noshii-e rindaa;N hai shash jihat
;Gaafil gumaa;N kare hai kih getii ;xaraab hai

{152,5}

na:z:zaarah kyaa ;hariif ho us barq-e ;husn kaa
josh-e bahaar jalve ko jis ke naqaab hai

{152,6}

mai;N naa-muraad dil kii tasallii ko kyaa karuu;N
maanaa kih tere ru;x se nigah kaamyaab hai

{152,7}

guzraa asad musarrat-e pai;Gaam-e yaar se
qaa.sid pah mujh ko rashk-e savaal-o-javaab hai