Tughluqabad

Agra Fort, from the Berger Collection

 

Ghazal 154

4 divan verses (out of 7); rhyming elements: aalii ne mujhe
composed after 1821; Arshi #185

{154,1}

garm-e faryaad rakhaa shakl-e nihaalii ne mujhe
tab amaa;N hijr me;N dii bard-e liyaalii ne mujhe

{154,2}

nisyah-o-naqd-e do-((aalam kii ;haqiiqat ma((luum
le liyaa mujh se mirii himmat-e ((aalii ne mujhe

{154,3}

ka;srat-aaraa))ii-e va;hdat hai parastaarii-e vahm
kar diyaa kaafir in a.snaam-e ;xayaalii ne mujhe

{154,4}

havas-e gul ke ta.savvur me;N bhii kha;Tkaa nah rahaa
((ajab aaraam diyaa be-par-o-baalii ne mujhe

The unpublished verses from this ghazal:

{154,5x}

zindagii me;N bhii rahaa ;zauq-e fanaa kaa maaraa
nashshah ba;xshaa ;Ga.zab us saa;Gar-e ;xaalii ne mujhe

{154,6x}

baskih thii fa.sl-e ;xizaan-e chamanistaan-e su;xan
rang-e shuhrat nah diyaa taazah-;xayaalii ne mujhe

{154,7x}

jalvah-e ;xvur se fanaa hotii hai shabnam ;Gaalib
kho diyaa sa:tvat-e asmaa-e jalaalii ne mujhe