Tughluqabad

Agra Fort, from the Berger Collection

 

Ghazal 157

7 divan verses (out of 7); rhyming elements: il me;N hai
composed after 1826; Arshi #201; Raza p. 273

{157,1}

saadagii par us kii mar jaane kii ;hasrat dil me;N hai
bas nahii;N chaltaa kih phir ;xanjar kaf-e qaatil me;N hai

{157,2}

dekhnaa taqriir kii la;z;zat kih jo us ne kahaa
mai;N ne yih jaanaa kih goyaa yih bhii mere dil me;N hai

{157,3}

garchih hai kis kis buraa))ii se vale baa ii;N hamah
;zikr meraa mujh se bahtar hai kih us ma;hfil me;N hai

{157,4}

bas hujuum-e naa-umiidii ;xaak me;N mil jaa))egii
yih jo ik la;z;zat hamaarii sa((ii-e be-;haa.sil me;N hai

{157,5}

ranj-e rah kyuu;N khe;Nchiye vaa-maa;Ndagii ko ((ishq hai
u;Th nahii;N saktaa hamaaraa jo qadam manzil me;N hai

{157,6}

jalvah-zaar-e aatish-e doza;x hamaaraa dil sahii
fitnah-e shor-e qiyaamat kis kii aab-o-gil me;N hai

{157,7}

hai dil-e shoriidah-e ;Gaalib :tilism-e pech-o-taab
ra;hm kar apnii tamannaa par kih kis mushkil me;N hai