Tughluqabad

Agra Fort, from the Berger Collection

 

Ghazal 169

13 divan verses (out of 14); rhyming elements: osh hai
composed after 1826; Arshi #199

{169,1}

:zulmat-kade me;N mere shab-e ;Gam kaa josh hai
ik sham((a hai daliil-e sa;har so ;xamosh hai

{169,2}

ne muzhdah-e vi.saal nah na:z:zaarah-e jamaal
muddat hu))ii kih aashtii-e chashm-o-gosh hai

{169,3}

mai ne kiyaa hai ;husn-e ;xvud-aaraa ko be-;hijaab
ai shauq haa;N ijaazat-e tasliim-e hosh hai

{169,4}

gauhar ko ((aqd-e gardan-e ;xuubaa;N me;N dekhnaa
kyaa auj par sitaarah-e gauhar-farosh hai

{169,5}

diidaar baadah ;hau.slah saaqii nigaah mast
bazm-e ;xayaal mai-kadah-e be-;xarosh hai

{169,6}

This verse is the beginning of a verse-set that includes {169,6-12}.

ai taazah-vaaridaan-e bisaa:t-e havaa-e dil
zinhaar agar tumhe;N havas-e naay-o-nosh hai

{169,7}

dekho mujhe jo diidah-e ((ibrat-nigaah ho
merii suno jo gosh-e na.sii;hat-niyosh hai

{169,8}

saaqii bah jalvah dushman-e iimaan-o-aagahii
mu:trib bah na;Gmah rahzan-e tamkiin-o-hosh hai

{169,9}

yaa shab ko dekhte the kih har goshah-e bisaa:t
daamaan-e baa;G-baan-o-kaf-e gul-farosh hai

{169,10}

lu:tf-e ;xiraam-e saaqii-o-;zauq-e .sadaa-e chang
yih jannat-e nigaah vuh firdaus-e gosh hai

{169,11}

yaa .sub;h-dam jo dekhiye aa kar to bazm me;N
ne vuh suruur-o-soz nah josh-o-;xarosh hai

{169,12}

daa;G-e firaaq-e .su;hbat-e shab kii jalii hu))ii
ik sham((a rah ga))ii hai so vuh bhii ;xamosh hai

{169,13}

aate hai;N ;Gaib se yih ma.zaamii;N ;xayaal me;N
;Gaalib .sariir-e ;xaamah navaa-e sarosh hai

The unpublished verse from this ghazal:

{169,14x}

ho kar shahiid ((ishq me;N paa))e hazaar jism
har mauj-e gard-e raah mire sar ko dosh hai