aa kih mirii jaan ko qaraar nahii;N
hai
:taaqat-e be-daad-e inti:zaar nahii;N hai
dete hai;N jinnat ;hayaat-e dahr ke
badle
nashshah bah andaazah-e ;xumaar nahii;N hai
giryah nikaale hai terii bazm se mujh
ko
haa))e kih rone pah i;xtiyaar nahii;N hai
ham se ((aba;s hai gumaan-e ranjish-e
;xaa:tir
;xaak me;N ((ushshaaq kii ;Gubaar nahii;N hai
dil se u;Thaa lu:tf-e jalvah'haa-e ma((aanii
;Gair-e gul aa))iinah-e bahaar nahii;N hai
qatl kaa mere kiyaa hai ((ahd to baare
vaa))e agar ((ahd ustuvaar nahii;N hai
tuu ne qasam mai-kashii kii khaa))ii
hai ;Gaalib
terii qasam kaa kuchh i((tibaar nahii;N hai