Tughluqabad

Agra Fort, from the Berger Collection

 

Ghazal 171

3 verses (out of 7); rhyming elements: il hai
composed 1816; Arshi #146

{171,1}

hujuum-e ;Gam se yaa;N tak sar-niguunii mujh ko ;haa.sil hai
kih taar-e daaman-o-taar-e na:zar me;N farq mushkil hai

{171,2}

rafuu-e za;xm se ma:tlab hai la;z;zat za;xm-e sozan kii
samajhyo mat kih paas-e dard se diivaanah ;Gaafil hai

{171,3}

vuh gul jis gulsitaa;N me;N jalvah-farmaa))ii kare ;Gaalib
cha;Taknaa ;Gunchah-e gul kaa .sadaa-e ;xandah-e dil hai