Tughluqabad

Agra Fort, from the Berger Collection

 

Ghazal 203

5 divan verses (out of 8); rhyming elements: ab mujhe
composed 1816; Arshi #164

{203,1}

yaad hai shaadii me;N bhii hangaamah-e yaa rab mujhe
sub;hah-e zaahid hu))aa hai ;xandah zer-e lab mujhe

{203,2}

hai kushaad-e ;xaa:tir-e vaa-bastah dar rahn-e su;xan
thaa :tilism-e qufl-e abjad ;xaanah-e maktab mujhe

{203,3}

yaa rab is aashuftagii kii daad kis se chaahiye
rashk aasaa))ish pah hai zindaaniyo;N kii ab mujhe

{203,4}

:tab((a hai mushtaaq-e la;z;zat'haa-e ;hasrat kyaa karuu;N
aarzuu se hai shikast-e aarzuu ma:tlab mujhe

{203,5}

dil lagaa kar aap bhii ;Gaalib mujhii se ho gaye
((ishq se aate the maana(( miirzaa .saa;hab mujhe

An unpublished verse from this ghazal:

{203,6x}

.sub;h naa-paidaa hai kulfat-;xaanah-e idbaar me;N
to;Rnaa hotaa hai rang-e yak nafas har shab mujhe