baa;G paa kar ;xafaqaanii yih ;Daraataa
hai mujhe
saayah-e shaa;x-e gul af((ii na:zar aataa hai mujhe
jauhar-e te;G bah sar-chashmah-e diigar
ma((luum
huu;N mai;N vuh sabzah kih zahraab ugaataa hai mujhe
mudda((aa ma;hv-e tamaashaa-e shikast-e
dil hai
aa))inah-;xaane me;N ko))ii liye jaataa hai mujhe
naalah sarmaayah-e yak-((aalam-o-((aalam
kaf-e ;xaak
aasmaa;N be.zah-e qumrii na:zar aataa hai mujhe
zindagii me;N to vuh ma;hfil se u;Thaa
dete the
dekhuu;N ab mar ga))e par kaun u;Thaataa hai mujhe